Wednesday 17 October 2012

mujhe mere khwabon ke sath ek tanha raat gujarne do

ye raat
ye tanhai
us par se ye khamoshi...

kuchh khawab chhuapya tha maine
apne sirhane ke takiye ke neeche

kahtey hain un khwabon ko
ek jodi aankhon ne chura liya hai
jo aasman ke us par rahti hai

ye suraj
kahin se nikal kar
mere khawab mere sine mein laga do

bohut jalan hai
bohut tapish hai
mere sine mein kahin

un aankhon se kahna
mere khawab lauta de

main tanha tha
main tanha hoon
mujhe mere khwabon ke sath
ek tanha raat gujarne do...

Thursday 4 October 2012

Tum ho bhi, Aur nahin bhi

Jab bhi tera hona
chand ban jata hai..
Mera jism
dharti ban jata hai

sote khwabon ke chehre pe
chand ki ungliayn ghum ghum kar
ek ruhani chehra bana deti hai,
jaise ki hawaon ne
osh odh liya ho,
jaise ki neend ne
kahani pahan li ho,
jaise ki jisp pe
aakash lapet diya ho...

phir ...
ek tooti hui 
subah ki aawaz se hi
ek-ek parat girne lagti hai

hawa ... dhuan ...
chehra ... nisha.n

Tum ho bhi.... Aur nahin bhi...

man karta hai

.
.
.
.
man karta hai raat ko dhakel doon panv se

subah ki chhati pe rota hua milega ...

sare darwaje band kar do

Mere sare jism
Mera sara aakash
Mere manas ki sari kahaniyan
Aur meri anant smritiyan

Aao chalo milkar
sare darwaje band karo do
darwaje ki kundi
aur usase jhankti
hawa ki khidkiyan bhi band kar do

ki ab sans loon to
meri nashon se
khuda bah jaye......

sham ko girte hue dekha























kabhi-kabhi
is chalti-phirti road pe 
baith kar
fursat se chay pi raha hota hoon....
yun hi pata nahin kaise
chay hath mein hi rah jati hai
aur main ..
sham ko girte hue
dekhne lagta hoon
aur apni dono aankhon se
sham ke tukdon ko
batorne lagta hoon

Raat ko un tukdon ko
takiye ke neeche
rakh deta hoon
bada sukun milta hai...
shayad tumne bhi to
kahin se is sham ko
girte hue dekha hoga....

Tumhari barish hoti agar

kal roshni aur hawaon
ke beech vaqt ruka tha

dharti ke reshe reshe pe
ishq gira tha...

ek jami hui raat
khoon si pighal jati...

tumhari barish hoti agar....