Sunday 30 June 2013

aakashon ke bhi paar


















जानती हो तुम ?
जहाँ तक दिखता है
तुम्हे ये अम्बर
उसके भी पार एक आकाश है
जहाँ मनुस्य नहीं रहते
जहाँ सिर्फ़ मनस रहते हैं

मनस,
सघन मन है
जो ख्वाहिशों और स्मृतियों से बना है...





तुम बस
अपने शरीर को क़ैद कर सकती हो,

तुम्हारी संवेदना,
कल्पना,
और चेतना...
मनस के आकाश में,
जहाँ रहती है
वहाँ मैं हरेक पन्ने पर
रेखाओं सा बिखरा हूँ...

तुम्हारी कल्पना की
हरेक रचना में
खाली पन्ना हूँ मैं...

तुम चेहरा
तो बदल लोगी
लेकिन गंध कैसे बदलोगी
मैं तुम्हारी उर्जा-गंध को
पहचानता हूँ...

मेरा प्रेम
आकाशों के भी पार
कई आकशों तक फैला है
एक शाश्वत विस्तार की तरह...

जब भी धूप या अंधेरा बरसेगा तुम पर
आँखें बंद कर के
महसूस करना तुम
हरेक कन में
मेरा इश्क़ मिला हुआ है...

-----------------------

Janti ho tum ?
Jahan tak dikhta hai
tumhe ye ambar
uske bhi paar ek aakash hai
jahan mansuya nahin rahte
jahan sirf manas rahte hain

Manas,
saghan mann hai
jo khwaishon aur smirtiyon se bana hai...

Tum bus
apne sharir ko chhupa sakti ho,

tumhari samvedna,
kalpana,
aur chetna...
manas ke aakash mein
jahan rahti hai
wahan main harek panne par
rekhaon sa bikhra hoon

tumhari kalpna ki
harek rachna mein
khali panna hoon main...

Tum chehra
to badal logi
lekin gandh kaise badalogi
main tumhari urja-gandh ko
pahchanta hoon...

Mera prem
aakashon ke bhi paar
kayi aakashon tak faila hai
ek shashvat vistar ki tarah..

jab bhi dhoop ya andhera barsega tum par
aankhein band kar ke
mehsus karna tumm
harek kan mein
mera ishq mila hua hai....