Sunday, 31 May 2009

Aadha...

Jab raat ke do baje
dhuein ki dukan se
ek saya
tin cup chay pikar
vapas aa raha tha

falaq ki gardan pe
ek sadhak ko dekha
uska jism
andhere se sil kar
buna gaya tha
uski harek part mein
pyas aur bhay ka aks tha
harek darwaje ka tala tha bhay
aur chabhi thi pyas

falaq saat din pahle
sirf falaq hi tha...
haan ek pyas thi shayad
ki main kyun hoon...
vaqt ke sath sath
darwaje kholta jata hai
aur khud ko khota jata hai

aadhe tak aasan tha
kyunki
tab tak uske wajood ki sankhya thi
lekin ab rupantaran ka vaqt hai
sankhya madhya mein tangi hai
use chunana hai
ki wo khud ko kho de
ya khud ko pa le..

uski tadap shirsh pe hai
usne aadha andhera khoya hai
aur aadha chand paya hai
ab wo kya karei....????

harek din...

harek din...
chand kisi khwab sa toot jata hai...

harek tukda...
mere andar ke varf ko pighla deta hai...

har ik sahar...
mere jism pe palastar chadha deti hai...

maine chaha nahin tha....
kabhi deewar banana.....

shahar ki deewarein

yahan se door talak
shahar ki sari deewarein dikhti hain

sabhi ke jism pe
vaqt ne taarikhein ankit ki hain....

lekin aakhon pe
thoda sa aakash laga kar dekhta hoon
to har ik jism mein
ek surakh dikhta hai...

jane kya kahti hain wo surakhein
jane kaisi khamosh aawazon ko
in surakhon ne chhupa ke rakha hai

sidhi pe baithe mere bhi jism ko
halke halke
ye suraakhein bula rahin hain...

na maya hai, na natak hai
faqat khamoshi se
main sidhiyon pe chalte ja raha hoon...

tumm kya ho?

sadiyon se mera aks
kaynaat ki roshini mein so raha tha
jane kitne
khwabo.n ne dastak diye
jism ke parde badle
aankhon ke subah ugaye.....

wo vaqt ke samne ki jamee.n
par hi anvarat* sota raha...

aaj tune
is darwaje ko chhua bhi nahin
na hi jism pe dastak di
aur ye subah ki aankhein bhi nahin badli...

khamoshi ki musalsal raato.n mein
bina khwabo.n ke
tumm mere aks ko halke halke
chhoo rahe ho...

tumm kastoori ho
tumm kanhda* ho
tumm kayamat ho
tumm kabir ho
ya ki tumm krishn ho...

tumm jo bhi...
mujhe ek aayina de do
main us aks ko dekhna chahta hoon...

sadiyon se...

sadiyon se
khali hathon mein
usne sans chhupa rakha hai
jiske ird gird sham aur sahar ghumti rahti hai

kabhi suraj pi leta
kabhi chand chug leta hai

aur aise hi kaynaat ka silsila
aankhon se lekar
aakash tak
chalta rahta hai....

haan uske hath
mangal se shani tak faile hai

pata nahin kab is dharti pe
swati giregi.........

main...

jamee.n mein ek surakh banate hain
thodi mitti aur thodi hawa nikal kar
jahan roshini aur andhere bhi na ho
aisi surakh...
jahan aankhein bhi na jati ho
aur na hi khushboo
aisi surakh...
jahan na pyas tapakti ho
aur na saans bahti ho
aisi surakh...

wahi usi surakh mein
tareekh ke harf mein lapet kar
apne nishal ko rakh dena....

main janm janm tak
muntazir rahoonga
jab tak tu na ayega
main jism bhi na kholunga
na hi rooh se kuchh bolunga

pahla harf tere mastak pe
mere labo se phutega
main tera premi hoon !!!!!!!!!!!

khat

khat ....

faqat khat nahin hota hai,
khat ki aankhein hoti hai
jo harf se nikal kar
rooh ko chhoo leti hai...

lamho ke aage peeche
buni hui gahri khamoshi ko
aahista aahista ghula kar
ek rishte mein badal deta hai
khat....

khat ....
faqat khat nahin hota hai,
khat mein ek dabi hui
mithi si aag hoti hai
jo vedna ko bhi ek
sundar sa roop de deti hai,
bina shamma ke bhi
har sham jism jalta hai
har raat pighal kar
andhere mein chhip jata hai
goongi si ye pida
jane kaise sadiyan ji jata hai...

khat
faqat khat nahin hot hai !!!!!