Sunday, 14 June 2009

Khat...

khat

khat ek khali deewar hai
jahan humm apni aankhon se
apne rooh ke dard ko khatey hain
ki koi hai us taraf
jo kabhi na kabhi
in lafzon ko sunn lega
aur is ankahi deewar ko gira dega...

falaq pe daudati rekhaon pe
apni khwabon se
aksar main khat likha karta hoon
jo kahin na kahin chand se milta hoga
aur wahi rohini ki rekhaeyn
kabhi na kabhi
uski aankhon tak pahunchega
tab kya uski saansein
samajh nahin payegi
ye chand, ye roshini, ye rekhayein
usase kuchh kahna chahti hai
uski bhi aankhon se
kuchh sunana chahti hai..

khat...
wo takiya, wo raat, wo khwbon ke parde
jiski silwaton mein
dhadkan sahar tak zinda hai
wo khat hai...
harek jism ki ragon mein
mitti mein dabi
wo pankhon ki kahani
kshitij pe jise maine
sadiyon se likha hai
wo khat hai...
khat hi saanson ke pahle ki nazm hai
khat hi saanson ke baad ki khamoshi hai
khat........