Friday, 22 July 2011

Rishta..


Rishta…

Kabhi apne room ki deewaron
ko apni ungliyon se chhota hoon
to buss rishta hi to hai
jo kahta hai -
nishal tumm akele nahin ho
main khamoshi se tumhare sath sota hoon
aur tumhare khwabon ko
apne daman mein chhupa kar rakhta hoon..

Rishta...
kabhi apni budhi aankhon se
apne safed balon mein
apni umra ki tnahayi ko dekhta hoon
to balcony mein baithi tumhari aankhein
mujhe phir se lapet kar
kahti hai -
rishtey kabhi budhe nahin hote,
aao tumhe dhalti sham ka suraj dikha laoon
aao tumhe ek baloon dila doon
aao tumhe ek chikki khila doon
meri dharti pe tumhara ishq
har pal nayi saans leta hai…

Rishta…
Jab bhi kabhi main
apni bahen khol khol kar
tumhare liye subah-sham chunta hoon
thodi si subah aur thodi si sham
fisal kar kahin dharti pe gir jati hai…
main apni nam aankhon se puri raat
diye mein apna ishq laga kar dhoondhta hoon…
...mere rishtey ko to buss pura khilona pasand hai..
tapti dopahri mein
pasine se lathpath
main dharti ki chhati pakad rota hoon,
tumm chupke se aati ho
apni aakash se bani chhati mein
mera moonh chhupa leti ho….
roti ho…
……….
….. nishal… kyun itna pyar karte ho mujhse??
…..meri aankhon se kahti ho…
main khush hoon tumhare sath… bohut khush…

Rishta......

Ishq itna mukhar kyun hota hai..

Yugon tak ye jism
apni dharti
apni deewaron ke beech sanse leta hai

kabhi achanak se
mere jism ki karwat pe
ek nazm utar jati hai

main sans rok kar
us lams mein utar jata hoon
us do lamhe ki zindagi ke liye...

deewar ki hathon pe
kuchh rekhayen ubhar jati hai
jiski tasveer
aankhon se bolti hai….

Ishq kitna mukhar hota hai..
Satya ki tarah khamosh kyun nahin...


kuchh khwab...

Maine bhi in aankhon se
kayi khamosh khwab dekhe hain
kuchh neele neele raat ke jaise
kuchh sinduri aakashi jajbat ke jaise

kuchh khawab
zindagi ki galiyon mein gir gaye
nanhi ungliyan kitna samhalegi…

kuchh vaqt uda le gaya
apni gili hawaon ke sath
jo mere sirhane har raat chala karti thi…

lekin teri yadon ke sukhe panne pe
abhi bhi kuchh khawab zinda hai...