Tuesday, 1 November 2011

Ek chehra



Ek saya hai
ek lafz hai
ek jodi ankhein hain…

Jo gujarate vaqt ki khidki pe
baith kar maun...
....bas dekhti hai….

uski gili balon se
nikal kar kuchh kesh
hawaon mein
ek prashn bana dete hain…

Lagta hai khwab ke jaise,
sula doon kabhi..
unhe apne sine par,
Apne hathon se chhookar
uske mathe pe
laga doon abhi…

Uski chhoti si kaan ki
chamakti bali…
Jaise amavas ko bhi
kahin se 2 moothi chand mil gaya ho…
khwaishon ki koi dher nahin hai
bus halka sa
usne mujhe pahen rakha hai…

Uski shunya ko jhankti aankhon
se laga hua
pyara sa gaal…

sadiyon se khidki ke samne ka chehra
badalta rahta hai,
uske shirt ka rang
uski ungliyon ka aakar
hatheli ki rekhayen
aur hathon ka pasina badalta rahta hai…

wo masoom se
komal pyare se gaal
uske khamosh aankhein
udte hue kesh
aur kan ki bali..

sab kuchh
samarpit hai….