Wednesday 21 September 2011

gili mitti ho jaoon main

Jab kabhi kamra khamosh hota hai
aur mera jism
us khamoshi mein lipta hota hai…

sochta hoon
apni ungliyon se hokar bah jaoon
aur gili mitti ho jaoon…
paas ki sukhi jameen par…

dharti bhi to jane
kitne janmo.n se pyasi hai….

Friday 16 September 2011

chhoti nazmein...

mitti ka harek mukhauta
ek pyas se bana hota hai…

andhere ki patli chadar pe
jab aawazien girti hain
to mitti ka ek aur darwaza khul jata hai…

aane do abhi chand
ki gumsum si ye raat kate…

gir jane do thoda aaftab
ki gumsum si ye raat kate...

-----

Ye aakash...
Mujhko ek baat bata de

kaise itni khamoshi se dharti soti hai...
kaise itni khamoshi se puri raat bita leti hai....

Mujhko bhi wo hunar sikha de...
Mujhko bhi kuchh khamoshi de de...

-----

hai andhera bhi aur hai dhuan...
na saya koi deewar pe dikhta hai...
hai itni khamosi ki
meri sanson ka shor sunai deta hai...

khamoshi....

musalsal khamoshi !!!!

----


Divas ki parchhayi se
jab kabhi
Jism andhera hota hai….

darwaja band karne ka vaqt hua hai

vastra badalne ka vaqt hua hai

khwaisho.n ki sham hone vali hai
arpan karne ka vaqt hua hai….

----


Sinne mein aisi ek gahri si aawaz
jaise koi andhere mein
sannate ke bechho-beechh
shankh-naad karta ho...




Sunday 11 September 2011

Main swarp hoon

Jahan meri sharir ki seemayen khatam hoti hai
aur khali jagah shuru hoti hai...
Jahan suraj bhi doobta hai
Jahan khwab chhupaye jate hain
Jahan nazm likhi jati hai
aur Jahan dharti aansu bahati hai….

kabhi kabhi us jagah pe
apni aankhein rakh deta hoon….

wahan na roshni hoti hai
aur na hi andhera hota hai
bus geeli roshni ki aawazein
girti rahti hai…

vaqt apni aankhon se
kuchh sans leta hai…

aur meri aankhon se
ek aur khwab dhul jata hai...

main premi hoon…
main nishal hoon…
main swarp hoon…

---
*swarp : Jo swyan ko arpit hai…one who believe the most in the self

Thursday 8 September 2011

chhota aayina hoon main

Ghar ka darwaja khulte hi
pass ki deewar pe
tanga rahta tha main…

subah aur sham ki dhoop
mere chehre pe
jab bhi padti thi
mere ghar ki deewaron pe
sinduri geet gaya karte the…

Jab bhi log aate
meri aankhon se poochhte
"kaisi lag rahi hoon main...?"

Aaj meri aankhon pe
ek chasma laga diya gaya..
phir mere upar
ek curtain bhi tanga gaya...
phir mujhe utha kar
store room mien rakh dia gaya…

ghar mein dressing table aaya hai..

chhota aayina hoon main...

main nishal hoon

katra katra
mere jism se
mera chehra badal jata hai…

aayina mujhe dekh kar
ab sawal nahin poochhta
aankhein mujhe chhoo kar
ab ye nahin kahti ki
"kaun ho tumm?"…

sharir pe tange
sare vastra
mujhe pahchanne lage hain…

main nishal hoon...

Wednesday 7 September 2011

main...aur tumm....

kabhi kahti hai
tumhari khamosh aakhein
batao to preetam...
mera rang kaisa hai
....
mmmmmmmmmmmmmmmmmmmm
samadar mein
suraj dooba kar
jab chand ko
dheere dheere kheench ke
falak pe lagta hoon

lamha lamha
falaq ke jism pe
tumhari aankhon ka
kajal lag jata hai
aur chand ki paridhi pe
tumhari aakhashi aankhon ka
noor najar aata hai
aur palak matkati rahti hai
chand sari raat...
aur main sochta hoon
ye chand ne kaise
tumhari aankhein churayi hogi...
aur ye falaq ne kaise
tumhara kajal churaya hoga...
....

kabhi kahti thi
tumhari khamosh aankhein
batao to preetam...
mera gandh kaisa hai

subah jab shab
ko halke halke
shafaq ke peeche
mod kar rakh diya tha

meri aankhon mein
chhupi hui
neend ki khushboo
aahista aahista
mere jism pe chha jati hai
aur pura din
ek ajeeb si hawa
mere jism ko sunghti rahti hai
jaise koi saya
dua karti rahti hai
kal raat..
maine teri aankhon se
khwab jo dekha tha

......
kabhi kahti hai
tumhari khamosh aankhein
batao to preetam
meri aawaz kaisi hai

subah ki pahli dastak
teri aawaz...
main aankhon ke
falak badal kar
khwabon ko halke halke
uthata hoon
khwaon ki kashmashahat
teri aawaz...
main apne jism ke
deewar ko
dhokar naya rang lagata hoon
ungliyon se kuchh
parchhayion ke chitra
bhi banaye
halke se khamoshi
ka diya
rooh ke kone mein lagaya
bus main hoon aur mera jism...
khamoshi rooh se nikal kar
mere aayine tak
pahunch jati hai
lekin aayine ki tej nazar
teri aawaz...

mere jism se mere rooh tak
faili hai teri aawaz
meri najar se mere gandh tak
faili hai teri aawaz
meri aankhon se mere khwab tak
faili hai teri aawaz

main hooon to teri aawaz
main na hoon to teri aawaaz
meri gati mein teri aawaz
meri shanti mein teri aawaz

kaynat ka har zarre mein
basi hai teri aawaz

suraj ka khilna teri aawaz
sham ka dhalna teri aawaz
chand ka pighlna teri aawaz
sitaron se milna teri aawaz

teri aawaz pe main saans loon
teri aawaz pe main marr jaoon