Friday 23 March 2012

Main tumhe kaise bhul jaoon

This is story of two eternal lovers that they believe that they are in love since birth of the creation, but their union is not yet done, but in this birth He has seen her(Manavi) and .........



















Main tumhe kaise bhul jaoon..............

Jab na suraj tha
na prakriti thi
na kahin tha hayat-ye-nishan
buss nur tha aur ishq tha
ishq ki shakl ghumti rahi
aur kaynat banti rahi...1*

main tab bhi tha
parvat ke roop mein
aur tu baadal thi
main tab bhi jismo-jaan se
sirf tumhe chahta tha
teri ek chhuan ke liye
shamo-sahar rota tha
lekin tu bhi kya karti
teri zindagi saba ke
niyam se chalti thi...
phir bhi tumhe yaad hai,
jab bhi kabhi hum miltey the
dono jhum ke nachte the
main apni bahon pe
tumhe pasar deta
aur tu mere jism ke
harek patthar ko
fisal fisal ke chumti thi...
aaj bhi tere labon se
chume hue wo jism ke tukdon se
ek ajeeb si khushboo aati hai
aur maine aaj bhi unhe
dafnaya nahin hai
kahtey hain...
mujhe tumhare sath hi fana hona hai...

Main tumhe kaise bhul jaooon.....................
Main tumhe janmo se dhoondh raha hoon.......


Aur tumhe yaad hai
jab tumhe chandan ka darakht 
hone ka darp* tha
aur main teri jism se
lipta ek sarp tha,

Tab humm kitney khush the
main din aur raat
buss tumhe pyar karta tha
teri jism ki khusboo ka
main parwana tha
Tujhese lipat lipat ke
maine kayi saal bitaye
saans rok kar tumhe sunghta tha
aur kayi dino tak
tumhe kan-kan se jeeta tha
Main behosh rahta
par tere jism se chipka, zinda tha
Tumm kabhi darr jati
to meri aankhein chumti
aur main palak uthakar
tumhe ek nazar dekhta
aur phir tere vaksh* mein so jata
tumm chain ki saans leti...

Lekin vaqt ki gufaon mein
rakshas bhi rahtey the
wo tumhare jism ko katna chahte the
maine bohut tez ladyi ki thi
kayi rakshason ko maut ki neend sulayi thi
par unki sankhya bohut jyada thi,
mere jism ke tukde tukde kar diye
aur mere hi samne
tumhe kaat kar 
apne makan(ghar nahin) le gaye...
Main rota raha, tadapta raha
apni tuti hui aankhon se
ye bhi kaha ki
kam se kam
mujhe tumhari jad mein dafn kar de
lekin wo rakshas the....

Main aaj bhi apni
pathrili aakhein liye
ghisat raha hoon
kisi tarah tere jad tak pahunch jaoon
phir fana ho jaoonga....

Main tumhe kaise bhul jaoon......................
Main tumhe janmo se dhoondh raha hoon.......

Aur..............
janmo ki virah ke baad
aaj main tumhe
sakshat apne jism se dekh raha hoon....

*2*
!!!!!!...........
......Kahtey hain manas *3* ki shaktiya
niyati ka nirman karti hain *4*....

Jab se mujhe sarp bana kar kata gaya
tabhi mujhe ek manav ka roop mila tha
lekin tu chandan thi
tujhe niyati ne 
phul banaya, 
pakhi banaya,
shwan banaya,...*5*
.....
.....
....janm-janmantar...
....
teri khusboo to mere pass thi
par main tumhe khoj na saka
phir maine Niyatashtra* khoja
maine tapasya ki, sahashtra varsho tak....
niharika badal gayi,
dishayen badal gayi,
yug badal gaya,
main khada raha....
kalantar mein
mera jism badal gaya
pahle char panv pe
phir do panv pe
phir ek panv pe
main adig raha...
Main rakh hua
main khak hua
par manas zinda tha,
manas jo pare hai...
samay, dharti, aur parivartan se bhi...

Mujhe...
kshudha* ne mara
trishna ne jalaya
marichika mein dafnaya
par manas zinda tha
manas jo pare hai...
bhukh, vasna, aur darshan se bhi....

Mujhe...
chand sunghaya
rishto ke gaat* pahnaye
mujhe ek chammach buddh chakhaya
par manas zinda tha
manas jo pare hai...
kalpana, ehsas, aur nirvan*6* se bhi....
............................!!!!!!

maya aur vaqt ne milkar
humein nahin milne ki anant saazishein rachi
maine kayi janm liya
kayi roop badla
lekin mera manas zinda tha
aur har baar maine
sirf isliye janm liya
taki tumhe manavi ka roop de sakoon
aur tumse mil sakaoon...
meri smriti mein abhi bhi
wo patthar aur sarp ke tukde zinda hain....
unhe kuchh aur nahin
buss tere astitva ki khamoshi
mein dafn hona hai...

kash main samay ko rok pata...
jab teri nigahein mujhe
akalpit khamoshi se chhoo rahi hai
....main tere rubaroo hoon....
samay - gatishunya
saans  - aparichit
kaynaat - mahabindu
tu - noor
main - ishq
humm - maharaas

tannnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn............
tumhari aankhein band ho jati hai...
tannnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn............
sannate ko todta maha sannata
vikral samay ka tawaran*1 badh raha hai
humara ajanma jism
pighal jayega....
















kaynaat badalane vali hai
sab kuchh shunya mein sama jayega
isase pahle ki humm phir bichhud jayein
tu buss apne 
astitva ki khamoshi mere jism ko*7*
aur manas ka noor meri rooh *8*
pe laga de
mujhe tujhmein
fana hone ki
Ijjajat de de.....

main tumhe janmo se dhoondh raha hoon

main tumhara 
aur sirf tumhara premi hoon.....

========================================
Refrences:

1* - By the theory of creation of universe, in islamic concept that There was only darkness before Ati, that is call Anati, and Ati is the moment when process of creation of universe has taken place, and how it happened is, Allah takes his noor out and he fall in love with that noor, and starts giving 99 different attributes in the praise of self(god) or the noor, that is why there is 100 names of Allah, 99+self is 100.
2* - This is actually showing a flashback in a kind of silence, that is why it starts and ends with !!!!!!!!!.... manav ki aankhon mein manavi padh leti hai

3* - Manas: Is astral existence of living waves

4* - This is actually by the theory of Law of Karma, that watever we think, is astral form and destiny converts that into physical form, that is nirman, so manas ki shakti is like how we use our mind, follow the law of karma and creates the destiny and that we are suppose to live,
that is "niyati ka nirman".

5* - Question is why? Why manav took directly into human and not Manavi?, open question?, I believe by the law of Evolution.

6* - I have used the word Nirvan because nirvana has possibility of existing with manas, but Arhat is shunya, Buddha had attained nirvana, that is why there is possibility of taking another birth by Buddha, that is what Theosophical soceity had tried with J. Krishnamurty, by the name of Maitrya.

7* - Even silence is physical or wavical, that can be perceived, that is why jism pe
8* - Manas ka noor is like rooh ka noor only, but with bit of nafs like karuna, prem

Word Meanings
-----------------------------
*
Darp: Pride
Vaksh: Chest
Niyatashtra: Power tool that can change the destiny that is Manas
kshudha: Hunger
Gaat: Cloth
Twaran: Accelaration, time is moving much faster than it is suppose to be, symbol of end of creation, n that is why Ajanma jism, that is Manas and Desires are melting as well, because every layer of existence is getting seized.