yahan se door door talak
shahar ki harek part mein
bus dikhta hai andhera..
lekin gaon ke andhere
aur shahar ke andhere mein
ek chhota sa farq hai
gaon ka andhera sirf andhera hota hai
shahar ke andhere pe bhi daag hain..
aur ye daag andhere ki chhati par chadh kar
manav ke banaye hue mashal nahin hai
ye sirf mahatvakanchhayen hain…
prakriti ki achhunn, mulayam jism pe
chhote chhote safed daag hain…
kash…
kash ki mil jaye
kahin se pavitra andhera…
taki main
pi sakoon ek do katora…
No comments:
Post a Comment