Raat ki matkiyon mein
kuchh anjane se alap
kuchh andekhi aankhon ka vartalap...
Raat ...
jab andhere ke lifafe mein
sare sitare bator kar
chand ke us taraf chhipa deta hai
to fizan mein faqat khamoshi rah jati hai….
Jab shisam ke darakhton ke jungle mein
dharti ki ek ek dhwani
tamas chhupa kar
raat ke sajar pe apni aakhein tang deta hai
to fizan mein faqat khamoshi rah jati hai….
Aakash ki patli si chadar ki
mulaaym pankh vali satahon pe
jahan na hawa hoti hai
jahan na tarang hota hai
tumm utarti ho….
swar-lahri ban kar….
manav ki aankhon mein
ek ajeeb sa expressionn ban kar
kabhi sur ban jati hai kabhi nirtya ban jati hai
kabhi alap ban jati hai ya kabhi nartan ban jati hai
ya kabhi nrityalap…
uske pure jism mein
uski dhadkan mein
uski aatma mein…
ungliyon se hokar bahti ho…
aaaaaaaaaaa….. (jaise ki koi ga raha ho)
aaaaaaaaaaa…..
aaaaaaaaaaa…..
Shrishti ki khamosh canvas pe
nirantar nirvikar
uski ungliyan chalti hai
kabhi uski ungliyon mein
veena dikhti hai
kabhi rang dikhta hai
kabhi nataraj
kabhi shrishti ki aawaz…
samast rajni ki samay-rekha par
samandar ki lahrein sur-manthan karte hain
amurtan
nishpandan
shilpakt
nrityalap...
uske jism ke hisse tutate jate hain
aur kriti banti jati hai
brahmand ki aroop rekha mein
manav ki aatma roshni ban kar
mayakash ka tamas todta jata hai…
aur manvi mukt hoti jati hai…
veena tut jati hai
rang bikhar jata hai
natraj toot jata hai
varf se bana shilp toot jata hai
aur manavi mukt hoti hai…
usha ki pahli kiran se bhi pahle
manav-manchan se
shriti ke canvas pe
mayakash ki varf se
manvi mukt hoti hai…
khamoshi khamosh hai
malay saans le raha hai
aaj vyakaran ka janm hua hai
aaj sa-re-ga-ma-pa-dh-ni-sha bani hai
aaj dha-ge-na-ti-na-k-dhi-na avtarit hai
aaj ishq ki tasveer bani hai…
aaj manvi maya se mukt hai…
ishq ke nishal mein…
No comments:
Post a Comment