Sunday, 17 October 2010

Ek nazm

Main janta hoon
aaj bhi koi hawa soyi hai
usi chand ki palkon pe
jiske sine pe har roz main
kabhi raat kabhi andhera rakh deta tha...

bohut arsa hua
maine rishto ke pashmine ko nahin palta
bohut arsa hua
maine tumhare lams ki kursi nahin hilayi

vaqt aur khawab ki parton mein
har sham patli si nazm hua karti thi
harek gujarte hue sitare
ek pal ko ruk jate aur
aur nazm ki dheemi dheemi dhun suna karte the...
kabhi tere hothon se rang chura leta
kabhi tere julfon se raat chura leta tha
lekin har sham maine nazm ko
babsta puri shiddat se banaya tha...


kyun nahin zindagi se
phir ek nazm chura loon
aur teri julfon se thoda raat chura loon
nazm ki khomsh raat mein
main aankhein band karna chahta hoon
tere rishtey ki chhuan mein
ek khwab jina chahta hoon....

No comments: