Sunday 17 October 2010

kalpana

zindagi ka chehra kaisa hai?
maine to kabhi nahin banayi
na hi use koi roop ya kaya deni ki koshish ki
maine to buss uski kalpana ki thi
bina chitrao.n ke bina chehre ke
haan meri kalpana mein
badi aashta hai
badi khamoshi hai...

galiyon aur siddhanton mein jyada farq nahin hota
harek gali aadmi kuchh khojne ke liye banata hai
siddhant bhi aadmi kuchh khojne ke liye banata hai
gali dikhti hai, badi mamuli lagti hogi
siddhant buddhi ki baat lagti hai, to asadharan lagti hogi,
aparoksh roop se siddhant bhi gali ke jaisa hai
jo ki thodi akeli hoti hai
kyunki bheed mein humm aavaran to khoj lete hain
lekin khamoshi kho dete hain
siddhant khamosh hote hain
galiyan mukhar
buss yahi farq hai....

jane kitne janmo.n se
jane kitni galiyon mein
jane kitne siddhanto.n mein
apni khamoshi ko
anvarat apalak jee raha hoon
faqat apni kalpana ke liye...

tumm jab bhi utaro
meri galiyon ki satah par
apni ungliyon se
meri muntazir khamoshi ko chhoo dena
do aanshoon bahenge
aur main mukt ho sakoonga
siddhanto.n se
galiyon se

phir tumm mujhe yaksh banao
ya ki brhmarakhas
mujhe sab manjoor hai
main tera...
faqat tera premi hoon
-kalpana

No comments: