aaj bhi kayi dafa
raat ko jane kitne baar
main yun hi achanak
sote sote uth jata hoon
aur moondi hui aankhon se hi
jane kuchh khojne lagta hoon
...
thodi saanse leta hoon
aur ek gilas pani pita hoon,
bistar pe mere jism
aur adhuri silvato.n ke siva
kuchh bhi nahin hai...
haan tootate palastar ki khali badan pe
ek khidki bhi hai
jismein saankal bhi nahin hai
lekin vaqt ki zard chabhi
khidki ko kabhi khulne nahin deti,
khidki ke palle ghuma kar
intejar karti aankhon se
bahar ki harek cheej dekhne lagta hoon
aur aise ki jaise
main harek cheej se
tumhara chehra milana chahta hoon
kahin tumm ye to nahin
kahin tumm wo to nahin
kya pata
tumhari aawaz ne malay ka
aks odha hoga
bina gaat ke
tumm us pile phul ke jaisi lagti hogi
kya pata....
ya to aadmi pagal hai
ya phir pura bewkoof...
ya phir hai ye
ek nishthavan bhakti
ki harek cheej mein
buss tera aks dhoondhta hai
tu meri kalpana hai?
ya tu khuda hai?
No comments:
Post a Comment