Monday, 29 November 2010

Shafaq

shafaq kya hai???

jab raat aur aankh
dono mil kar andhere ki khamoshi pe
apni aankhon se kuchh
ashq girana chahte hain,
taki kuchh kinare gir jaye
taki kuchh sopan mit jaye
taki samast aakash mein
bina gurutva ke
buss tatva rah jaye....

khawabo.n ki bunavat mein
har raat
aur ek jodi aankhein
uski khamosh faza.n mein
apne snigdh dhadkan se
bina palak
bina putli
buss intejar karti hai,

ki kab deep jalenge
kab tansen malhar gayega
ki kab shafaq
apni ratri-ragini ko
kahkashan pe avtarit karega...

shafaq
raat aur aankhon ka adrishya vartul.

Sunday, 17 October 2010

कल्पना

ज़िंदगी का चेहरा कैसा है?
मैने तो कभी नहीं बनाई
ना ही उसे कोई रूप या काया देनी की कोशिश की
मैने तो बस उसकी कल्पना की थी
बिना चित्रों के बिना चेहरे के
हाँ मेरी कल्पना में
बड़ी आस्था है
बड़ी खामोशी है...

गलियों और सिद्धांतों में ज़्यादा फ़र्क़ नहीं होता
हरेक गली आदमी कुच्छ खोजने के लिए बनाता है
सिद्धांत भी आदमी कुच्छ खोजने के लिए बनाता है
गली दिखती है तो, बड़ी मामूली लगती होगी
सिद्धांत बुद्धि की बात लगती है, तो असाधारण लगती होगी,
अपरोक्ष रूप से सिद्धांत भी गली के जैसा है
जो की थोड़ी अकेली होती है
क्यूँ की भीड़ में हम आवरण तो खोज लेते हैं
लेकिन खामोशी खो देते हैं
सिद्धांत खामोश होते हैं
गलियाँ मुखर
बस यही फ़र्क़ है....

जाने कितने जन्मों से
जाने कितनी गलियों में
जाने कितने सिद्धांतों में
अपनी खामोशी को
अनवरत अपलक जी रहा हूँ
फक़त अपनी कल्पना के लिए...

तूम जब भी उतरो
मेरी गलियों की सतह पर
अपनी उंगलियों से
मेरी मुंतज़ीर खामोशी को छू देना
दो आंशू बहेंगे
और मैं मुक्त हो सकूँगा
सिद्धांतों से
गलियों से

फिर तुम मुझे यक्ष बनाओ
या की ब्रह्मराक्षश
मुझे सब मंजूर है
मैं तेरा...
फक़त तेरा प्रेमी हूँ
-कल्पना

kalpana

zindagi ka chehra kaisa hai?
maine to kabhi nahin banayi
na hi use koi roop ya kaya deni ki koshish ki
maine to buss uski kalpana ki thi
bina chitrao.n ke bina chehre ke
haan meri kalpana mein
badi aashta hai
badi khamoshi hai...

galiyon aur siddhanton mein jyada farq nahin hota
harek gali aadmi kuchh khojne ke liye banata hai
siddhant bhi aadmi kuchh khojne ke liye banata hai
gali dikhti hai, badi mamuli lagti hogi
siddhant buddhi ki baat lagti hai, to asadharan lagti hogi,
aparoksh roop se siddhant bhi gali ke jaisa hai
jo ki thodi akeli hoti hai
kyunki bheed mein humm aavaran to khoj lete hain
lekin khamoshi kho dete hain
siddhant khamosh hote hain
galiyan mukhar
buss yahi farq hai....

jane kitne janmo.n se
jane kitni galiyon mein
jane kitne siddhanto.n mein
apni khamoshi ko
anvarat apalak jee raha hoon
faqat apni kalpana ke liye...

tumm jab bhi utaro
meri galiyon ki satah par
apni ungliyon se
meri muntazir khamoshi ko chhoo dena
do aanshoon bahenge
aur main mukt ho sakoonga
siddhanto.n se
galiyon se

phir tumm mujhe yaksh banao
ya ki brhmarakhas
mujhe sab manjoor hai
main tera...
faqat tera premi hoon
-kalpana

Main hoon....

Main nahin hoon
Main nahin hoon
Main nahin hoon

kar lo bharosa
kar lo bharosa
kar lo bharosa

main nahin hoon ........

hua kya? (shayad nahin !!! kyun???)

vishwash shabd nahin hai
thareer aur uske mayne nahin hai,
subah jab tumhari aankhon mein
dhoop girti hai
koi tumhari orkut mein
scrap nahin karta
aur na hi koi phone karta hai
ki suraj uga hai
phir bhi tumm jan jate ho
ki martand hai...

ye anubhav ki aashtha hai
shabd ka vishwash nahin

thik vaise hi tumm lakh baar
meri aankhon se mujhi ko kah do
main nahin hoon...

mere jism ko mita kar
prashant se kah do
nishal nahin hai...

main anant-nirantar
main maya-pashan
main nimish-netra

amukhar
akhamosh
amaun

hooooon.....

main hoon radha
main hoon maya
main hoon krishna - kanhaiya !!!!!!!

kalpana aur khuda

aaj bhi kayi dafa
raat ko jane kitne baar
main yun hi achanak
sote sote uth jata hoon
aur moondi hui aankhon se hi
jane kuchh khojne lagta hoon
...
thodi saanse leta hoon
aur ek gilas pani pita hoon,
bistar pe mere jism
aur adhuri silvato.n ke siva
kuchh bhi nahin hai...
haan tootate palastar ki khali badan pe
ek khidki bhi hai
jismein saankal bhi nahin hai
lekin vaqt ki zard chabhi
khidki ko kabhi khulne nahin deti,
khidki ke palle ghuma kar
intejar karti aankhon se
bahar ki harek cheej dekhne lagta hoon
aur aise ki jaise
main harek cheej se
tumhara chehra milana chahta hoon
kahin tumm ye to nahin
kahin tumm wo to nahin
kya pata
tumhari aawaz ne malay ka
aks odha hoga
bina gaat ke
tumm us pile phul ke jaisi lagti hogi
kya pata....

ya to aadmi pagal hai
ya phir pura bewkoof...
ya phir hai ye
ek nishthavan bhakti
ki harek cheej mein
buss tera aks dhoondhta hai
tu meri kalpana hai?
ya tu khuda hai?

Ek nazm

Main janta hoon
aaj bhi koi hawa soyi hai
usi chand ki palkon pe
jiske sine pe har roz main
kabhi raat kabhi andhera rakh deta tha...

bohut arsa hua
maine rishto ke pashmine ko nahin palta
bohut arsa hua
maine tumhare lams ki kursi nahin hilayi

vaqt aur khawab ki parton mein
har sham patli si nazm hua karti thi
harek gujarte hue sitare
ek pal ko ruk jate aur
aur nazm ki dheemi dheemi dhun suna karte the...
kabhi tere hothon se rang chura leta
kabhi tere julfon se raat chura leta tha
lekin har sham maine nazm ko
babsta puri shiddat se banaya tha...


kyun nahin zindagi se
phir ek nazm chura loon
aur teri julfon se thoda raat chura loon
nazm ki khomsh raat mein
main aankhein band karna chahta hoon
tere rishtey ki chhuan mein
ek khwab jina chahta hoon....

Do lamha

.... Main nahin chahta tumse pura aakash
mujhe buss,
do lamha
apne god ka
aasman de do..


main rakh loonga...
bhar ke un lamho mein
teri aankhein, tera chehra
aur tere rooh ki bhini khushboo
jab bhi kabhi dhoop hogi...
aur kahin nahin hoga pani tak
un lamho ke sahare
main phir se jee loonga
do lamha buss
tere god ka aasman...

Nukkad

Yun hi jab kabhi
aate jate subah sham ki dukan pe
dikhta rahta hai
meri khwahishon ka chehra
kabhi kuchh kharid leta hai
kabhi kuchh bech deta hai...

rishtey aur raston mein jyada farq nahin hota...
miltey and juda ho jate hain...

kal hi kisi ne
mere khwaon ka rasta becha hai(kahan?)
nukkad (pe)
-sirf natak ke liye nahin banayi jati
-yahin pe subah aur sham ki dukan hua karti hai
-harek rasta mil jata hai

kuchh raste bik jate hain
kuchh kharid liye jate hain

usi zindagki ki nukkad pe
jahan subah aur sham ki dukan lagti hai

Rishta

Maine kabhi nahin socha tha
ki gaon ke bahar,
ek garib ki chhoti si dukan par
seema har sham apni sinduri
chunari, udate-udate
yun hi aam-pachak lene chali jayegi...
aur nishal bhi
ek na ek goli bacha kar rakhta hai
ki tera intejaar karta hai,

aakhir aisa kya dekha tha
nishal ne teri aankhon mein us roz,
jab pahli dafa tumm aayi thi
apni bheegi sinduri chunari mein,
jo barish padne se
ek thake hue sham ke jaisi ho gayi thi...
lekin nishal ki aankhon mein
ek subah ka saya tha...

haan usi subah ki
anvarat pani ki satahon par
main ek pal ko rahta hoon
aur phir agle pal
kahin kho jata hoon...

aaj nishal ki aankhon mein !!!

-Rishta