Friday, 21 November 2008

is premi ko jalne do


Ye nazm ek experiement hai, kuchh aisi do tarah ki ehsason ka
jo mujhe laga ki juda hua hai, lekin likh nahin paya...phir likhna suru kiya,
vaqt laga ye samajhne mein ki agar juda hai to inka milan kaise hoga,
1 - represents feeling #1
2 - represents feeling #2

Ab aap khud hi batana ki meri koshih kais hai, thoda ajeeb ho sakta hai, jyada gali mat dena.


1
main aaj phir se pyasa hoon..

sham ki dahleej pe jaise hi
aadhi chhupi chandni panv rakhti hai
yadon ke kuchh tukde
mere sine mein pani ka bulbula ban jate hai
kuchh doobta hai, kuchh tairta hai
lekin harek bulbule ki ek koshish hoti hai
ki wo apne preetam se mil jaye
uska preetam usi ke farsh pe 
hawa ki falko'n pe rahta hai
koi pal bhar mein mil jata hai
kisi ko raat lagti hai
kisi ko sadiyan lag jati hai
main paniyon ke beech
janmon se 
preetam ka aasha hoon
main aaj phir se pyasa hoon...

2
kuchh dhuaan chhupa hai sine mein
is sine ko jalne do
kuchh taron ko aur jhok do
is sine ko jalne do

humm yaad us kaante ko karte hain
jiski yaad se kapoor* mil jata hai
humm sine pe apni yaad rakh denge
tumm dhoo dhoo kar ke jalne do
kuchh dhuaan chhupa hai sine mein
is sine ko jalne do

2
kisi ko dhandh lage to aa jana
maine ek angar jala ke rakha hai
tumm angar mein apne hath sekna
aur ho sake to ye dua jhonkna
ki main tab tak jaloon
jab tak 
shafaq har roj suraj se jalta hai
kuchh suraj ke tukdon ko bhi
tumm noch noch ke chubho dena
mere jism ke katre katre ko
bin aawaz ke galne do

kuchh dhuaan chhupa hai sine mein
is sine ko jalne do


1
tumne kabhi aisi aawz suni hai
jo kaan se nahin sun sakte
phir bhi kabhi kabhi main
deewaron ko sunta hoon
kabhi falak ko sunta hoon
kabhi chandni kaan pe rakh leta hoon
kabhi kaan sameer pe rakh deta hoon
phir bhi...phir bhi...
na jane wo kaun si aawaz hai
jise main janmo se talasha hoon
main aaj phir se pyasa hoon...

2
main ungliyon 
mein kuchh chingari liye
saton falaq pe ghumta hooon
wo qayamt ko wahi chingari
phir se mere sine mein jhonk deta hai
aur peeth ghuma kar
phir se mujhe dojakh* mien phenk deta hai
kuchh devdar* ke patton ko mila kar
mere zarre zarre ko pighalne do

kuchh dhuaan chhupa hai sine mein
is sine ko jalne do

1-2
haan ek aawaz mujhe pasand hai
jab main uski gali se guajrta hoon
uski gali ki hawa, mitti aur deewarein
kuchh kahne lagti hai
kuchh sunane lagti hai
uski gali ki ek ek mitti se
mujhe preetam ki aawaz ki sunayi deti hai
ab milan humara aisa ho
tumm wahin ki mitti ke neeche
mere jism ko dafna dena
aur ho sake to uspe
ek chandan ka ped laga dena
main sanwar sanwar ke aaoonga
tumm tod tod ke jala dena
hai ye shap* mere astitva pe
jala kar hi sahi mujhe
tumm kuchh fizaon ko mahka dena

janmon se preetam ka pyasa
mujhe rang roop badalne do
har roop rang mera pyasa hoga
tumm janam janam tak jalana mujhe
hai prem chhupa mere sine mein
is premi ko jalne do


kapoor -camphor
dojakh -hell
devdar -ek tarah ka ped hota hai, jiski lakdi jalne mein bohut help karti hai
chandan jaisa sundar aur khushboodar nahin, lekin lapat chandan ke hi jaisi
shap - curse

No comments: