Friday 21 November 2008

History of Love

Prem ka itihas

Ye jo main likhne ja raha hoon, ye sirf ek poem nahin, ye sirf ek prose nahin hai,
ye mera experience hai, is sach ko maine mehsus kiya hai.

Its a story in poetic state, story because it tales u, poetic because it can only be written in form of poem,
shayad kahani mein utni ada, utni kalpana aur abstraction nahin hota jitni nazm ya kavita mein hoti hai.

Is kahani mein 4 actors hain
1. Main (jise main abhi tak nahin janta, psych of mind of nishal, and writer of this poem as well)
2. Nishal (Jo manav ka roop leta hai)
3. Manavi
4. Vaqt

Kahani prem ke itnihas ki hai, jise maine 5 pannon mein likhne ki koshish ki hai,
aur khoj ye hai ki prem kya hai? Prem suru kaise hota hai aur ant kaise, sachhai aur anubhav kaisa hai iska?
Ho sake to ise mehsus karne ki koshish karein, ismein maine sahbd nahin lagaye hain
ismein maine apna jism ke tukde lagaye hain.


================================================
Kal maine zindagi ki sham pe
kuchh panne khali chhor diye the
shayad raag mein virag ko milaya tha
aur kah diya tha Vaqt se
aur kaja'n se bhi
ki aao..
apne khwabon ko
jis rang mein ugana chahte ho, ugaa lo
main unn panno pe buss dekhunga
jaisi bhi chandni mein
jaisa bhi raas karna ho, kar lo
buss de dena mujhe ek mukhauta
main buss wahi ban jaoonga

Maine astitva ko 
kshitij pe tang diya tha
aur dekhne laga
Vaqt ke hathon
meri nafs* pe 
banate us naye chitrakala ko
jise Main natak ya raas 
hi kah sakta hoon.

Pahla panna...

--------------------------------------
Manav aur Manavi
ek mayanagri banana chahte hain
banane ki unki chahat bhi hai
chahat mein shiddat bhi hai
aur unhone chuna hai
ret aur khwab ke tatvo* ko
vo bhi saahil ki jameen par
abhi Main dekh raha hoon
to mujhe hansi aati hai
lekin sab yahi karte hain
sab ke peeche chhupa nishal
bhi yahi karta hai
aur ye Arya-Satya hai.

Phir Manav ne
apne majboot hathon se
ped-paudhe banaye
roti banayi
kapas ke phul ugaye
jise kaat kar vastra banaye
Manavi ne un vastron mein
rang bhare, chitra banaye
aur..
Andhere ki chhati pe chadh kar
roshni ke kuchh tukde tange
kisi ko chand kaha
kisi ko nakshatra
aur jise tang na paya
use kaha
mashal.

Doosra panna...

--------------------------------------
Jab tak raat mein chandni thi
aur din mein suraj
tab tak thik tha
phir ek din aisa hua
ki us din na suraj tha na chand
aur us din 
mayakash* pe
bijliyan kadaki thi
Manavi Manav ke goad mein chhup gayi
Manav puri raat Manavi ko sulata raha
par kuchh sochta raha..

phir agle din
manav ne kuchh lakdi ke
tukdon se mayanagri ka
ek aur khilauna banaya
Manav ne use maakan kaha
aur Manavi ne Ghar
kyunki Manavi ne
un lakdi ke tukdon mein
ek aur tatva milaya tha
ehsas.

Teesra panna...

--------------------------------------
Manav thoda nikamma ho gaya tha
use ishq jo ho gaya tha
wo shafaq aur 
Manavi ki aankhon pe
geet likhta
aur kabhi kabhi preet ki
nayi raag sunata

Kahte hain..
Gandh ke itihas mein 
3 tatva hote hain **
usne chautha tatva khoj liya tha
Prem-Gandh
-- Rangdhanushi
-- Kshitijnayana
-- Pavanraag
-- Kusumadhar
-- Tatvamohak
-- Samyakriti

usne aise aise expression banaye,
samvedna ke itihas ko
shabd, geet aur ehsas se pare le gaya
dev aur gandharv* bhi
us khel ko khelna chahte
aisi adbhut sammohini thi
Prem-Gandh.

Chautha panna...

--------------------------------------
Vaqt falaq pe baha ja raha tha
Manav aur Manavi
apne khwabo'n ke shahar mein
khush the
Main kshitij pe
baitha sab dekh raha hoon
lekin ab kshitij se 
vo(nishal) gayab hai
vo Jesus ke cross
aur Buddha ke arya-satyon ko
kone mein rakh kar
Prem-Gandh ki sammohini mein
sama chuka tha
vo bhi Manav ban chuka tha
nirakar(nishal) ek aakar le raha tha
vo bhi shayad 
us gandh ko peena chahta tha
--Sangharshan
--Samveertan
--Sampreshan
--Rupantaran

Panchva panna...

--------------------------------------
Ab Nishal nirakar nahin tha
uska ab Manav sa aakar tha
lekin main chinitit tha
main mann ki avashthaon* ko janta tha
Nishal ek premi hai
lekin use Vaqt mein jeena tha
jo mann se chalta hai
aur wo mere pass chhor gaya hai***

Ek din Vaqt ne amavas rachi thi
Manav aur Manavi
maya ke farsh pe naach rahe the
unke nritya mein
ek devatva tha, ek divyata thi
phir bhi usmein thoda sa
Mayakarshan* tha
dono ghanto nachte rahe
- aankehin band thi
- samay band tha
- falaq sthir tha
ghanto baad Manav ne aankhein kholi
to Manavi gayab thi
uske kadmo'n ke nisha'n gayab the
uski gandh shayad
hawa ne jama diye the.

Manav chillana chahta tha
lekin us jagah mein aawaz nahin thi
shayad puri jagah mein varf jami thi
vo rona chahta tha
lekin uski aankhon ko Vaqt ne jama diya tha
bas uski dhadkan kayam thi
vo Manavi ke liye tadap raha tha
lekin use jalne ke liye wahan
aag bhi na thi

Tabhi use yaad aata hai
usi ne Vaqt ko 
kuchh panne diye the
apne astitva se
niyati* ko natak rachne ke liye
aur usi ne chuna tha
paanch panne...

Aaaj mayakash se
Vaqt gayab tha
Manavi gayab thi
Main kshitij pe tanga
Manav mein chhupe
tadapte chhatpatate main
khudh ko dekh raha hoon
aur afsos kar raha hoon
ki shayad...
Vo(nishal) Manavakar nahin leta
ye phir
shayad maine kuchh aur panne diye hote
Vaqt ko apne astitva se

Udhar Manav aaj bhi zinda hai
Vaqt badal gaya
mayakash badal gayi
Manav badal gaya
Manvi badal gayi
natak badal gaya
lekin Manav aaj bhi zinda hai
uski nafs zinda hai
uski dhadkan main aaj bhi
falaq pe anjani hawaon mein sunta hoon
jo apni Manavi khoj raha hai
Vo(nishal) ro nahin sakta
Main(mind of nishal) hans nahin sakta
========================================

Prem
-- Milan aur Virah 
-- Sukun aur Tadap
-- Sanyog aur Viyog


Refrences...

*
nafs - collection of desires, conscious and unconscious as well, (urdu)
tatva - element(hindi)
mayakash - sky of maya or earth made up of maya
-- Rangdhanushi - Indradhanush ki bahen rangdhanush
-- Kshitijnayana - Aisi aakhein jismein kshitij sa attraction aur ek thahrav ho
-- Pavanraag - Aisi ragini jo shant hawa mein hoti hai, powerfull and natural
-- Kusumadhar - Kusum ke saman adhar, aise lips jo flowers ke jaise ho
-- Tatvamohak - Tatva hi sab kuchh hai creation mein, aisi mohini jo tatva mein hoti hai, binding force
-- Samyakriti - Creation of time, samay ne jise banay hai

Gandharva - According to hindi myth, Pahle 4 tarah ke creature the, Manusya, Asura, Danav aur Gandharva
Gandhrva vaise log hote the jo jyadatar prem mein jeete the, manusya aur danav ke beeche ke prani
--Sangharshan - Invisible friction
--Samveertan - Invisible formation
--Sampreshan - Invisible talk (communication)
--Rupantaran - Transformation

Mayakarshan - Attraction created by Maya
niyati - Destiny

** There exist mainly three notes in the science of perfumes
1 Top notes: The scents that are perceived immediately on application of a perfume.
2 Middle notes: The scent of a perfume that emerges just prior to when the top notes dissipate. 
3 Base notes: The scent of a perfume that appears close to the departure of the middle notes.

*** 
Kahne ki koshish ye hai ki, Nishal prem ka pratibimb hai, isliye usne mann ko kshitij pe chhor diya,
lekin vaqt mann se chalta hai, jahan mann nahin hai, wahan vaqt ruk jata hai, isliye Writer yani ki main
jo kshitij pe psychich form mein tanga hua hai wo chintit hai kyun jab bhi chahe Vaqt Nishal ko maar sakta hai
kyun uske pass mann ki shakti nahin hai, wo sirf premi hai.

1 comment:

Anonymous said...

no words to say..........i went speechless beautiful story beautiful lines n Nishal i guess he is wonderful,smply outstanding
Gr8 Job!!!!!!!!!!