Friday 21 November 2008

kaise batayen humm tumhe....

kaise batayen humm tumhe....


kaise batayen humm tumhe
ki kitna pyar karte hain

jab bhi baarish hoti hai
to sirf dharti hi nahin
mere mann pe bhi kuchh chhite padte hain
lekin rooh phir bhi nahin bheeg pati hai
haan jab tu barasti hai
to jism ke sath sath
rooh bhi bheg jati hai
aur meri janmo ki pyas
thodi si mit jati hai

kaise batayen hum tumhe 
ki kitna pyar karte hain

9 din pahle raat ne
mujhe kuchh rang diye the 
ki main ek aks banaoon
ek aisa aks jo 
nisha aur rajni se
bhi sundar aur madahosh ho
jise dekh kar 
suraj behal ho jaye
aur phir se raat ke pahlu
mein chhoop jaye

main kahakashan se
udhari mein ek bada sa canvas mang leta hoon
aur raat ke diye rang se kuchh lakirein
kheenchta hoon
venus ki satahon se
main uske jism ka roop banata hoon
falaq pe daudati hawaon se
main uske baal lagata hoon
aur gine chune vaqt ke tukde se
us aks mein aankhein lagata hoon
phir apne rooh ke tukde kar ke
us aks mein rooh lagata hoon

aks ban kar complete hua
to raat ne matha thok liya
re nish....
ek chand kya kam tha gagan pe
jo tune dooja dharti pe banaya hai

kaise batayen hum tumhe 
ki kitna pyar karte hain

peechhle 9 dino se
mujhe kuchh ajeeb lag raha hai
main jab khata hoon to
jaise mere hi jism mein
ek aur moorat ban jata hai
jab peeta hoon pani to
jaise meri pyas ke peeche bhi
koi aur pyasa sari pani pee jata hai
meri aadhi khokhli saans bhi
koi mere jism se churata hai
aur meri chetna ke kuchh hisse
ek moorat mein samaya jata hai

raat bhar main is rahsya ke bare
mein sochta raha
aaj subah jab maine aayina dekha
to main hairan hoon
mera roop rang badal chuka hai...
teri soorat maine apne jism mein
aise hai banayi
ki mujhe nish ab
aayine mein bhi nahin dikhta hai

aayina, pani, aankhein aur aakash
jahan bhi main khud ko dekhta hoon
har jagah, har khali jagah
mujhe buss teri hi soorat najar aati hai

kaise batayen hum tumhe 
ki kitna pyar karte hain
.............
...............

No comments: